Abid ki khani
Abid ki kahani
(Haaye beemaar) x4
(Haaye beemaar) x2
(Haaye beemaar) x4
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
Payro(n) mei aable hai, aankho se ansuo(n) ke, hoti hai rawaani(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4Is baat ka nahi gham, bazaar behaya haiUmmat ki berukhi hai, ummat ke hi gila haiZainab bhi berida hai, badli hai zaeefi mei, abid ki jawaani(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4Qari namaazi hafiz, haji khare huwe theBazaaro(n) mei musalmaa(n), sare bhare huwe theZainab ki pusht par hi, beemaar-e-sarebaa(n) ki, guzri hai jawaani(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4Sadat ke liye hi, raaho(n) mei mushkile hai Qaure hai aur kaanthe, pathro(n) ki barishe haiKhayme jo karbala mei, jalte rahe the ya rab, barsa nahi pani(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4Jab karbala ko aye, suta watan madinaChora jo karbala ko, tanha huwi sakinaSarwar ki shaahzadi, kaise sahengi ya rab, zinda(n) ki weerani(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4Sajjad ko imamat, deti hai shaam-e-gurbatMazloom sayyedo(n) se, kehti hai shaam-e-gurbatPurse mei de rahi hu(n), beemar ko aseeri, karbal ko kahani(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4Na mahramo mei zainab, be parda jab khari thiUmmat ki teri nana, ghayrat kaha(n) gayi thiMajma laga huwa tha, Zainab jo parh rahi thi, ayaat-e-qurani(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4Saaya hata hi tha ke, Abbas ke bharam kaAaghaz hogaya tha, sadat pe sitam kaDeti rahi dilasa, pardes mei Zainab ko, Ghazi ki nishaani(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4Sajjad jis tarha se, ankho(n) se khun roya
"Arman" wo kalam se, kaise bayaan honga
Bedaar hogaye ham, matam bata raha hai, Noho(n) ki zubaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4